Ford Kis Desh ki Company Hai

Ford motor company jise hum “Ford” ke naam se bhi Jante Hain ko “Henry Ford ne 16 June 1903 ko established kiya tha.  Ab baat ki Jaaye ki ford Kis Desh ki company hai to yah America ki company hai Jiska head office Dearborn, Michigan USA mein hai. 

Ford ne Automobile industry mein “Endeavor or EcoSport” Jaisi Jabardast products ko market Mein launch kiya tha.  Lekin loss hone ke reason se 2021 mein Ford company Bharat se chali gayi thi, lekin jaankari se pata chala hai ki ab Ford company dobara se India mein entry karne wali hai. Aur is baar company India mein kuch khaas introduce karne wali hai.

Also Read – Bmw Kis Desh Ki Company Hai

Ford company ki hone wali hai India mein dobara entry

Ford company ka India mein Dobara aane ki baat aise shuru Hui Jab Ford company ne 2024 mein apni website ko Dobara se start kiya tha, jo ki 2021 Mein close ho gai thi. Uske baad February 2024 mein “Ford India Private Limited” ka registration karvaya. Fir March 2024 mein “Ford Ranger” ki Bharat mein testing ki gayi. 

Vaise abhi is company ne koi official statement nahin di hai jiska log Intezaar kar rahe hain. 

5 Ford Cars in 2024 | india ki 5 Ford Cars

Ford Mustang (price ₹74.61 lakhs): Fort Mustang Bharat mein 2016 Mein aayi thi Jo ki ek bahut pasand ki jaane wali car hai.  ismein automatic transmission aur petrol engine aata hai.  Iska mileage 13 kilometers per liter hai aur yah 4 seater hai. 

Ford Endeavour(Price ₹33.85 lakhs): Yah Bharat mein sabse Jyada bikne wala model ha. Iske best feature aur specifications hai is car ka model Titanium aur Titanium plus variant mein available hai. Iska mileage 13.9 kiloMeter per litre hai aur yah 7 seater hai. 

Ford EcoSport (Price 8.19 lakhs): Ford EcoSport ko India mein first number per jagah Di Jaati Hai ise six variant mein launch kiya gaya hai.  Yah car petrol aur diesel dono type ke engines mei aati hai. Iska mileage 15.9 kilometers Per liter hai aur yah five-seater hai. 

Ford Inspire (price 9.10 lakhs): Ford inspire ko 2018 Mein launch Kiya gaya tha is car ka model do variant mein aur Paanch Colors Mein available hai. iska mileage 16.3 kilometers per liter hai aur yah five-seater hai. 

Ford Figo (price 5.82 lakhs): India mein cars ke fans ke bich mein is car ko bahut pasand Kiya gaya hai. Iske teen variants Hain aur yah petrol aur diesel dono engine Main available hai. iska mileage 18.5 kilometers per liter hai aur yah five-seater hai. 

Conclusion

Aaj Humne Ford company ki car aur uske types ke bare mein aapko explain Kiya Hai. Waise to yah Company India se ja chuki thi lekin iski Re-entry hone ke chances hai jo ki dhamakedar variations ke sath aapke Samne naye model present Karne Wali Hai. 

Also Read – Gadi ke Number se Details Kaise Nikale

Leave a Comment