Gadi ke Number se Details Kaise Nikale

Doston Aaj Hum aapko bataenge ki aap Gaadi ke number se details kaise nikale sath hee sath aap iss number ke use karke gaadi ke owner ki bhi details nikaal sakte hain. Ab iska tarika hum aapko aage detail mein samjhaenge jismei 1 nahi balki 3 tarike hain jiske jarie aap kisi bhi gaadi ke number se uski details aasani se nikal sakte hain.

Also Read – Gadi Ka Insurance Kaise Check Karte Hain

Gaadi ke number se kon-kon si details ka pata Lagaya Ja sakta hai

Gaadi ke number se Ham Bahut si gaadi ki details ka pata laga sakte hain jaise: 

  • Gaadi ke owner ka naam, 
  • Gaadi ki purchasing ki date, 
  • Gaadi ka engine number, 
  • Gaadi petrol ya diesel kisse Chalti Hai, 
  • Gaadi ka chases number, 
  • Gaadi ka insurance, 
  • Gaadi ki company aur model.

Gaadi Ki details Ka Pata Lagane ke liye tarike

Official website se gaadi ki details Pata Karen: Gadi ke number se detail nikaalne ke liye aapko sabse pahle iski official website ke home page per visit karna hoga.

  • Home page per aakar aapko RC detail ka ek option milega jis per aapko click kar dena hai. 
  • Option per click karne ke bad aapke saamne doosra page open hoga jahan aapko registration number daal dena hai. 
  • Ab aapko status ke option per click kar dena hai, uske bad aapko daale gaye number ke gaadi ke owner ki saari details mil jaayengi.

M Parivahan App se gaadi ke details ka pata lagaye:

  • M Parivahan App ke jarie bhi aap kisi bhi gaadi ki details ka pata laga sakte hain jiske liye aapko is application ko apne mobile phone per download karke Install kar lena hoga. 
  • Is application ko open karne ke baad yaaha per aapko RC details ka option dikhega jahaa aap registration number ya fir gaadi ka number daal denge. 
  • Last mein aapko status ka option dikhega Jis per click karke aap gaadi ki saari details aur Iske owner ki bhi details Ka Pata laga sakte hain.

SMS ke jarie nikale gaadi ke number se sari details:

  • Sms se Gadi ki details nikaalne ke liye aapko apne mobile phone mein messages ko open karna hai. 
  • Ab aapke message box mein jakar aapko  VAHAN <SPACE> VEHICLE NUMBER daal dena hai. 
  • Is message ko aapko  7738299899  per send kar dena hai uske kuch minute baad mein aapko Gaadi ki saari details mil jaayengi.

Conclusion

Aaj is article Mein apne Jana ki Gaadi ke number se kaise aap Uske owner aur Gaadi ki saari details nikal sakte hain. Jiske teen tarike  Humne aapko explain kiye hain. Jisse aasani se aap kuch hi minuton mein jankari le sakte hain. 

Also Read – Car ko Rent Pe Kaise de | कार को रेंट पर कैसे दे

Leave a Comment