Bike Ka Sabse Accha Engine Oil Kon Sa Hai

Jaisa ki Ham Sabhi Jante Hain Ki engine Oil Kisi bhi vehicle ki Life Ko badhata Hai. Bike ka sabse accha engine oil kon sa hai kyuki Engine oil ka sabse bada kaam engine ko lubricate karna hai aur iski performance ko best banana Hota Hai. 

Engine oil se kisi bhi vehicle ke internal parts ki life bhi badhati hai. Jab engine chalta hai to usme bahut sa dust aur dirt jam jata hai. Engine oil iss dust aur dirt ke banne ko kam karta hai. 

Apni bike ke liye Sahi engine oil ka chuna ek bahut bada decision hai Kyunki bike ki performance aur uske Engine Ki performance Mein engine oil Ek bahut bada role play karta hai. 

Market Mein bikes ke liye bahut Sare engine oil ki option hai lekin yah chunna ki kaun sa engine oil best hai hamen bahut confuse karta hai. 

Also Read – Bike Pe Loan Kaise Le | बाइक पर लोन कैसे लें

Bike ke liye engine oil ka selection karna Kyon jaruri hai 

lubrication and friction reduce hona: Engine oil Ek lubricant Ki Tarah kam karta hai aur yah decide karta hai ki Motorcycle ke engine ke sabhi parts Sahi kam kar rahe hain aur ismein jyada friction Nahi hai. Engine oil se bike ki Engine Ki damage rukti Hai Sath hi sath engine Ki capacity ko bhi badhata hai. 

Engine Ki heat ko kam karta hai: Motorcycle ke chalne per engine Mein heat Paida hoti hai achcha engine oil is heat ko reduce karne mein help karta hai aur engine overheat nahin Hota aur iski life long hoti hai. 

Engine ko clean karna: Acchi engine oil Ki Baat karen to usmein detergent aur dispersant maujud hota hai jo ki engine ke dirt aur dust particle ko nikal kar saaf karta hai aur engine Accha perform karta hai toh uska maintenance bhi kam karna padta hai. 

Rust se bachav karta hai: Engine oil Mein anti-rust additive hote hain Jo ki engine ke parts Mein rust nahi lagne dete. 

Yahan per aapko teen engine oil ke bare mein bataenge jo ki aapki Bike ke liye acche engine oil hai 

Mineral oil: Mineral oil ko engine oil ka sabse badhiya aur Kaccha Roop Mana jata hai engine ke liye sahi rahata hai.  Yah oil synthetic oil ke comparison mein kam chalta hai. 

Semi synthetic oil: Semi synthetic oil, natural oil or synthetic oil ke mixture se bana Hua Hota Hai isiliye sabse popular engine oil yahi hai. Yah oil Motorcycle ke engine Mein use Hota Hai jo ki 150cc aur 180cc motorcycle Mein istemal Hota Hai.  

Synthetic oil:Synthetic oil ko Laboratories Mein banaya jata hai Jiske andar stickiness kam hoti hai yah engine oil 180 cc se Jyada engine wali bikes ke liye sahi rahata hai. 

Conclusion

Aaj Humne is article Mein Jana Ki engine oil bike ke performance Mein Ek bahut bada role play karta hai. Engine oil bike ke Engine Ki performance aur uske parts ki bhi dekhbhal karta hai. Isiliye Apne Engine Ki capacity ke hisab se Hamen engine oil ko choice karna chahiye.

Also Read – Motorcycle Ka Chalan Kaise Check Karen | मोटरसाइकिल का चालान कैसे चेक करें

Leave a Comment