Share market mai paisa lagane aur kamane ke liye partnership aur planning ki requirment hoti hai. Aaj is article mai hum aapko शेयर मार्केट में पैसा कैसे लगाएं और कैसे कमाए ke bare mai detail mai explain karenge. Complete knowledge lene ke liye aap article ko last tak jaroor padhe taki aap share market mai investment karne ke tarike aur paise kamane ke tarike ko detail se samajh sake.
Share market Kya Hota Hai
Share market ek wah Jagah hoti hai jaha per different companies ke shares ko sale aur purchase kiya jata hai, share market ke do main market hote hai.
1. Primary market- primary market hota hai Jaha per companies apne share ko pahli bar market mai lekar aati hai
2. Secondary market- secondary market wah market hota hai jaha per companies pahle se hee apne shares ki trading karti hai.
Share market ki basic knowledge gain Kare
Share market mai apna Paisa invest karne se pahle aapko basic knowledge Ka Hona jaroori hai Jaise:
Shares kya Hote Hai- share company ki ownership main ek hissedari hoti hai jab aap kisi bhi company ke shares purchase karte hai to aap utane share ke owner ban jaate hai.
Shares ka price Kaise decide Hota Hai- shares ka price market ki demand aur supply par depend karta hai, agar kisi company ke share ki demand jyada hai to shares ka price badhega aur agar demand kam hai to shares ka price ghatega.
Investment start karne se pahle planning banaye
Shares mai investment karne se pahle aapko ek strong planning taiyar karna Jaruri hoti hai:
Aim decide karna – aapko yah plan karna hoga ki aap kab invest karna chahte hai aur aapka Motive kya hai. Jaise aapko long term profit chahiye ya short term profit chahiye yah decide karna jaruri hai.
Risk tolerance karna – share market mai risk hamesha bana rahta hai. Aapko ye samjhana jaruri hai ki aap kitna risk utha sakte hai for example: agar koi investor Jyada risk le sakta hai jabki koi investor kam risk leta hai to Iske according aapko decision lena jaruri hai.
Demat account open Kare aur broker chune
Share market mai investment karne ke liye aapko broker ki jarurat padti hai. Share purchase or Sale ke liye aapko Demat account kholna bahut important hota hai jiske jariye aap shares ko purchase kar sakte hai aur safe karke rakh sakte hain. Demat account Kisi bhi online trading platform, Bank ya broker firm mai khola jata hai.
Share purchase karne se pahle company ke bare mai Jaane
Share purchase karne se pahle company ke bare mai niche di gayi baate janna Jaruri hota hai Jaise:
Company ki financial condition- kisi bhi company mai investment karne se pahle use company ki balance sheet, profit and loss account aur cash flow statement ko detail mai jaan lena jaroori hai taaki aap samajh sake ki kis company ke share kharidna aapke liye beneficial hoga ya nahi.
Present financial condition – company ke shares ka price real price se jyada ya kam ho sakta hai isiliye compare karke hi shares ko kharidne mai fayda hai.
Competition aur future condition- share purchase karne se pahle company ki market mai reputation aur uske future mai growth ki possibility ko Jaan lena jaruri hai.
Different types of investment
Share purchase karne se pahle aapko investment ki variations ko Janna jaruri hai, variations risk ko kam karne mai help karti hai:
Blue chip companies – badi aur stable company mai investment karna.
Midcap aur small cap companies- small or medium size ki companies jo ki future mai growth kar sakti hai lekin investment mai risk jyada hota hai.
Sector-based investment- different sector jaise banking etc mai investment karke apne portfolio ko balance rakh sakte hai.
Investment karne ke liye Jaroori baaten
- Long term investment Kare
- Market trade aur news ko Dhyan se Sune aur samjhe.
- Shares sale karne ki planning banaye- aapko shares ko kharidne ke sath sath bechne ka samay bhi soch kar rakhna hai. Jis company ke aapne shares kharide hai agar uski performance down jaa rahi hai to aap investment karne ke bad turant hi share bech kar profit earn kar sakte hain.
Conclusion
Share market mai investment long term process ho sakta hai lekin, agar aap investment ko jyada profitable banana chahte hai to aapko market ki deep study karni jaroori hai aur long term investment per dhyan dena jaruri hai, planning ke sath investment kijiye aur share market se Accha profit generate kijiye.
Mera Name Jay Kumar Hai , Best Bikes Cars Mera Blog Hai, Mujhe Autombile Par Content Likhna Pasand Hai, Mai Apko Automobile Ki Information Deta Rahunga Aap Mera Blog Padhte Rahe.