शेयर मार्केट में नुकसान कैसे होता है

Share market mai invest karne se loss or profit dono ki condition bani rahti hai. kisi bhi company mai jab uske shares ka price badhta hai to investors ko benefit hota hai lekin, jab shares ka price down hota hai to investors ko loss jhelna padta hai. Aaj ke article mai hum शेयर मार्केट में नुकसान कैसे होता है  ke Piche ke reason ke bare mai baat karenge jaise ki market ka fluctuation, wrong investment decision aur personal error. 

Market ka stable naa hona 

Share market kabhi bhi balance nahi hota kyon ki kabhi to Share Market teji se uper jata hai to kabhi teji se niche aata hai. Market Volatility(unstability) ke bahut sare reason ho sakte hai jaise ki Economic policies, political events, global market ki isthiti aur investor sentiments. Jab market stable hota hai tab share ke price teji se girte hai jisse investors ko nuksaan jhelna pad sakta hai, agar aap aise time per investment karte hai Jab market upar tha aur fir market Achanak niche a gaya to aapko nuksan uthana pad sakta hai. 

Company ki poor performance 

Share market mai investment ke time per wah company jahan per aap invest kar rahe hain uski financial condition aur future prospect ko samajhna jaruri hai. Agar Kisi company ki performance kharab hoti hai jaise ki Uske profit kam a raha hai to uske Business mai koi problem chal rahi hoti hai to unke shares ka price down hota hai. Aise mai investors ko Bhaari nuksaan jhelna padta hai. 

Investment ke liye wrong decision 

Bahut baar aisa hota hai ki investors jaldi mai kisi bhi company ke shares bina uss company ke baare mai jaankari liye purchase kar lete hai.  aisa karne se company ke risk ko nahi samajh sakte aur unhe company ki low performance ki vajah se loss uthna padta hai. 

Diversification mai Kami hona 

Agar aap share market mai kisi ek hi company mai invest karte rahte hai to yah bahut risky ho sakta hai kyuki, agar aap apne Saare paise ko ek hi company mai invest kar denge to aise mai agar company ke share mai giravat aati hai to aapko pora ka pora loss jhelna padega. Agar aap investment different companies mai karte hai to aisi situation mai agar ek company mai loss hoga to dusri company se profit gain karne ke chances rahenge. 

Margin trading or over risk 

Agar aap udhar ke paise se share market se share kharidte hai to isko hum “margin trading” kahaty hai is mai bahut jyada risk hota hai kyuki agar company ke share loss mai jaate hai to aapko investment mai to loss hoga hee sath mai aapko udhar liya gaya paisa bhi wapas karna hoga. Isliye agar aap jyada risk lekar investment karte Hai to market mai shares ke price mai agar thoda sa bhi down hota hai to aapko Bhaari nuksaan jhelna pad sakta hai. 

Conclusion 

Share market mai loss ke bahut saare reason ho sakte hai lekin ek successful investor banne ke liye aapko market ki situation ko samajhna, sahi decision lena aur alag-alag companies mai invest karna Jaruri hoga. Patience banakar rakhna share market mai successful investment ke liye bahut jaroori hota hai. 

Leave a Comment