20 साल पुरानी गाड़ी का रजिस्ट्रेशन कैसे करे | Purani Gadi Ka Registration kaise kare

Agar aapke pass bhi 20 saal  ki purani koi gaadi hai aur aap soch rahe hai ki uska registration karaya jaaye to aaj hum aapko is article ke jariye bataege ki kis tarah se aap apni 20 Sal purani gaadi ka registration Karva sakte hain. Hamare desh ki sarkar ne filhaal hee gadiyo ke registration ko lekar ek bada badlaav kiya hai jismei ki ab 20 saal purane tak ke vehicles ka registration karna bahut aasan ho gaya hai. 

New Rule by state Government

Government ka pehla yah Rule tha ki agar aapka vehicle 15 Saal ya 20 Saal purana hai to aapko iska dobara registration karvana chahte hai to iske liye aapko apne vehicle ka fitness test clear karna important tha. agar yah test  unsuccessful hota hai to aapki gaadi ko useless bata kar scrap mei daal diya Jaaega aur aisi gaadi chalate hue pakde jaane per bhari jurmana bhi dene Ka niyam banaya tha. 

Lekin Humari Central Government ne 1 October 2024 tak 20 Saal tak ki purane vehicles ke liye fitness test ko compulsory nahi kar diya hai. Toh yah ek bahut badi Khabar hai ki aap apni 20 Saal tak ki purani gadi ka registration kara sakte hai jis mai aapko fitness test dena jaruri nahi hai. 

20 Saal purani gadi ko register karne ke liye Jaruri information 

Agar aap apni 20 Saal purani gaadi ka registration karvana chahte hai toh iske liye aapko kuch Jaruri Baato ka dhyan rakhna hoga Jaise: 

  • Important documents- aapke purane vehicle ke registration papers, insurance papers and pollution control certificate taiyaar rakhne honge. 
  • RTO office visit- aapko apne area ke RTO office mei visit karna hai. 
  • Form- aapke vehicle ke liye Re- registration form 25 fill up karna jaruri hai. 
  • Fees payment- RTO office mei Re-registration ke liye fees deni hai jo ki different states mein different hoti hai. 

Diye gaye steps ko follow karke aap apne 20 Saal purane vehicle ka new registration karva sakte hain. 

Important points 

  • State government ne re- registration ke liye only 1 October 2024 Tak ke liye yah rule banaya hai uske baad registration karne ke liye fitness test dobara se compulsory ho sakta hai. 
  • Agar aapke vehicle per koi chalan baaki hai toh pehle uska payment karne ke baad re- registration ke liye lekar aana jaruri hai. 
  • State government ke naye rules sirf personal vehicles ke liye applicable hai, commercial vehicles ke liye rules different hai. 

Conclusion 

Government ne 20 Saal purani gaadi ke liye re- registration ka yah Rule jo nikala hai iske jarie aap aasani RTO office mein jakar registration karva sakte hain jiske.  Iske liye aapko apni vehicle ki condition ko sahi rakhna hai aur traffic rules ko follow karke rakhna hai. 

Leave a Comment