Motor vehicle Act 1988 mei shuru kiya gaya tha aur road transport vehicles ke liye yah Desh ke sabhi states, cities aur villages mei regulate kiya jata hai. motor vehicle act ke jariye drivers aur conductors ke license, motor vehicles ke registration unke license, traffic rules insurance paper aur penalties per rules and regulation batata hai.
Motor vehicle act mei jo bhi vehicle drive kar raha hai uske paas driving licence hona jaruri hai aur motor vehicle act mei yah rule hai ki koi bhi vehicle bina registration hue nahi chalaya jana chahiye.
Motor Vehicle Act ke rules
Motor vehicle act mein aapko rules todne per different situations mei different penalties hoti hai jo ki Government website per details se di hui hai. isliye motor vehicle act ke tahat crime, road ke rules ko todna, number plate se related crime, vehicle ki light se related crime, vehicle ki Horan, traffic signal todne se related crime, vehicle ki speed aur overtake karna, pollution se related, vehicle ki situation kaisi hai aur parking se related crime yah sab include hote hai.
Motor Vehicle Act mai changes
New motor vehicle act mein bahut saare changes kiye gaye hai jis mei agar aap iske rules or regulation ko todte hai toh aapko bhaari penalty bharni pad sakti hai kyuki is baar jo rules aaye hai usmei penalties ki amount ko badha diya gaya hai.
Yah Baat Hum sabhi Jante hai ki bahut se log aise bhi hote hai jo ki Jyada traffic wale areas mei apni car se traffic ko aur Jyada badha dete hai jiski vajah se bahut saare Logo ko jaam mein fasna padta hai aur bahut log aise bhi hote hai Jo teji se kisi bhi direction se apni gaadi ko overtake kar dete hai toh aise mei baaki Ke Logo ke liye accident hone ka khatra badh jata hai aur ismei Jaan ko bhi khatra hota hai. bahut log aise bhi hote hai jo car drive karte samay helmet nahi lagate to Is wajah se penalty ko badha diya gaya hai.
Penalty ke New Rules
Traffic Violation | Penalty |
Driving Without License | ₹5,000 |
Violation of Road Regulations | ₹500 |
Disobeying Authorities | ₹2,000 |
Driving Without Registration | ₹5,000 |
Over Speeding | ₹1,000 |
Drunk Driving | ₹10,000 |
Overloading Vehicles | ₹5,000 |
Driving Without Insurance | ₹2,000 |
Not Wearing Seat Belt | ₹1,000 |
Riding Without Helmet | ₹1,000 |
Driving Without Qualification | ₹10,000 |
Using Mobile Phone While Driving | ₹5,000 |
Not Giving Way to Emergency Vehicles | ₹10,000 |
Conclusion
Dosto Aaj ke iss article se humne jana ki motor vehicle act ko lagu karna hamari safety aur disciplin ke liye kitna jyada jaruri hai aur penalty unn logo ke wajah se badhai gayi hai jo ki road ke rules and regulation ko serious nahi lete to yah karna bahut jaruri hai. yah hamari aur sabhi ki safety ke liye ek government ka bahut important step hai.
Mera Name Jay Kumar Hai , Best Bikes Cars Mera Blog Hai, Mujhe Autombile Par Content Likhna Pasand Hai, Mai Apko Automobile Ki Information Deta Rahunga Aap Mera Blog Padhte Rahe.