Hyundai Kis Desh ki Company Hai | Hyundai Kaha ki Company Hai

India mai kafi sari car company hai Jo ek dusre ki competition mein hai.  Jaise Mahindra, Suzuki, Tata etc.  Ab baat ki Jaaye Bharat mein bahar desh se bikne wali top model cars ki to Hyundai Motors Company ki car ko kafi pasand kiya jata hai. Hyundai Kis Desh ki company hai to aapko bata de ki yah “South Koriya” ki company hai, jo apne strong build aur best features ke liye India aur other countries mein logo ki best choice hai. 

Also Read – Mercedes kis Desh ki Company Hai

Hyundai Motors 

56 years pahle 19 December 1967 mein Hyundai Motors ki establishment hui thi. Hyundai Motors ke owner ka naam “Chang Ju-Yung” tha jinhone yah company establish ki. Starting mei is company ko Hyundai Motors kaha jata tha lekin aaj ke samay ise Hyundai ke naam se Jana jata hai. Hyundai ka head quarter South Koriya ke “Seoul” mein hai. 

Hyundai Motors ki India mein entry 

1990 se lekar 2000 tak India mein America, Japan, China, South Korea jaisi badi countries se bahut saari car companies ne India mein apne business ko shuru kiya. Hyundai Motor ne “Hyundai Motor India Limited” ko 6 May 1996 ko establish kiya. Jisne apni company ki pahli car “Hyundai Santro” ko 1996 mein India mein launch kiya, jo ki saal ki dusri sabse Jyada sale hone wali car saabit Hui. 

Hyundai models with their approximate prices in India

ModelPrice (INR)
Hyundai Grand i10 Nios₹5.92 – ₹8.56 lakh
Hyundai i20₹7.04 – ₹11.21 lakh
Hyundai i20 N-Line₹10 – ₹12.52 lakh
Hyundai Exter₹6.13 – ₹10.43 lakh
Hyundai Venue₹7.94 – ₹13.48 lakh
Hyundai Verna₹11 – ₹17.42 lakh
Hyundai Creta₹11 – ₹20.15 lakh
Hyundai Alcazar₹17 – ₹22 lakh (upcoming)
Hyundai Tucson₹30 lakh (upcoming)
Hyundai Kona Electric₹25 lakh (upcoming)
Hyundai IONIQ 5₹46.05 lakh

Hyundai company maximum bikne wali Car 

Hyundai company ki naye model “Hyundai Creta” iss samay sabse Jyada bikne wali cars mein se ek hai kyu ki ab tak is model ki 10 lakh se bhi jyada ki cars bharat mein sale ho chuki hai. 

Conclusion 

Hyundai ki cars India mein apni cars ko ek bahut acche range mein alag-alag city mei  sale kar rahi hai.  Jiski manufacturing build kaafi strong aur best feature hai isliye aaj Hyundai Motors Company India market mein kafi famous hai. Aaj is article ke jarie apne jana ki Hyundai Motors kaha ki company hai aur iss company ka India mein kya market price hai.

Also Read – Bmw Kis Desh Ki Company Hai

Also Read – Audi Kis Desh ki Company Hai

Leave a Comment