Agar aapke pass gadi hai to uska insurance bhi karvana Jaruri hota hai aur insurance ke status ko check karne ke tarike aaj Ham aapke sath share karenge. is article ko padhkar aap aasani se jaan sakte hai Gadi Ka Insurance Kaise Check Karte Hain chaliye jaante hai
Gadi ka insurance Checking Process
- VAHAN Portal
- IIB Portal
- mParivahan App
- Insurance company
- RTO office
“VAHAN Portal” insurance Checking Process
- sabse pahle aapko website per visit karna hoga.
- Click karke aapke saamne website ka home page open hoga Jahan “Know Your Vehicle Details” option per click karna hai.
- Click karke “Citizen Login” se related page open hoga Jahan mobile number aur password bharna hai.
- Agar aapka registration pahle se hai to aap login kar denge Varna aapko “create account” option per click karna hai.
- Click karke new page open ho jaaega jahan per aapko apna mobile number aur email id ko fill karne ke bad “generate OTP” option per click kana hoga.
- OTP receive karke aapko usko fill karke “verify” option per click karna hai.
- yaha aapko password dalne ke baad “save” ke option per click kar dena hai.
- Registration hone ke baad aap apna password aur mobile number daalne ke baad “continue” option per click kar denge.
- Ab aapke diye number per OTP receive karke verify kar lenge.
- Ab aapke Samne Jo page khulega vahan aapko apni gadi ka number daal dena hai aur search ke option per click karna hai.
- Ab aap apni Gadi ke insurance se related saari Jankari yahan se dekh sakenge.
IIB Portal se Gadi ka insurance Check Karen
- Sabse pahle IIB Portal ki official website per visit karna hai.
- Ab Jo page open hoga vahan per aapko Name, address, email id, mobile number, engine number and registration number details fill karne ke bad “captcha code” fill karke submit ke option per click karna hai.
- Ab aasani se apne insurance ko check kar sakte hain.
mParivahan App se insurance Check Karen
- mParivahan App ko aap apne phone mein install karke apna mobile number aur six digit ka MPin dalenge.
- Ab aapko search ke option per click kar dena hai.
- Agar aapka yahan account nahin Hai To aapko “sign up” option per click karna hai.
- “Sign up” hone ke bad aapka account ban Jaaega fir aapko MPin number and email id dalkar login karna hai.
- Is tarah aap apni gadi ka insurance check kar sakte hain.
Insurance Company ke jarie
Jis company se aapne apni gadi ka insurance karvaya hai waha visit karke ya company ke toll free number se aap phone per bhi insurance ka pata kar sakte hain.
RTO mei jaakar
Aap RTO office mein jaakar bhi apni gadi ke insurance ki detail check kar sakte hain.
Conclusion
Aaj aapne jana ki gadi ka insurance Hona bahut Jaruri hota hai kyunki bina insurance ke gadi chalate Hue pakde Jaane par aapko chalan bharna padta hai isliye insurance Hona bahut Jaruri Hai.
Mera Name Jay Kumar Hai , Best Bikes Cars Mera Blog Hai, Mujhe Autombile Par Content Likhna Pasand Hai, Mai Apko Automobile Ki Information Deta Rahunga Aap Mera Blog Padhte Rahe.