Car Ki Service Kab Karni Chahiye

Jiske pass bhi apni Khud Ki car hoti hai jyadatar unko yah tension rahti hai ki unko apne car ki service kitne time ke interval Mein karvani chahiye. Aajkal ke Cars ke naye models ki baat ki Jaaye to woh khud hi apne dashboard par indication de deti hai ki usko service ki requirement hai. chalo jaante hai Car Ki Service Kab Karni Chahiye aasani tarike se.

Jaisa ki Hamen pata hai ki Kisi bhi car ki long life uski batter service per depend karti hai. Apni car ko sahi time per service karane Se Kya benefit hota hai aaj Ham aapko yahi information detail Mein explain Karenge. 

car ki log book se jaane information

Agar aapko Janna hai ki aapko Apne car ki service kab karvani hai Kyunki agar aapki car Mein yah feature nahin hai ki vah khud hee aapko indicate karke bata de ki car ko service ki jarurat kab hai toh aisi situation mein aapke pass car ka manual hota hai waha par first page ya last page se aap pata laga sakte hai. 

Manual na hone ki situation Mein service Ka Pata lagaen 

Agar aapke pass car ka manual bhi nahin hai To aisi situation mein aap apni car ki service ko har 6 mahine mein karvana Jaruri hota hai. Iska dusra option yah bhi hai ki agar aapki car 10 kilometer se Jyada chal chuki hai to bhi aap ki car ko ab service ki requirement hai. 

Car ki service Nahin karane Se Kya Hota Hai

Agar aapne apni car ki service nahin karayi toh aisi situation mein: 

  • Aapki car ka engine kharab ho sakta hai. 
  • Aapki car mileage dena kam kar degi. 
  • Aapki car mein aur bhi technical issues ho jaenge. 
  • Aapki car ke engine mein oil release hona shuru ho jaayega aur aapki car kahin bhi on the way rukh sakti hai.

Engine oil Ko badalwana Hai Jaruri

Agar aapne Apne car ka engine oil time se nahin change kiya to engine ke andar ek carbon ki layer produce ho Jaati hai aur is carbon ki vajah se car ke parts mein bhi kharabi aa sakti hai.

Car kya indication deti hai ki service ki requirment hai

Car ka engine heat hone Lage: Jab aapki car ka engine garm hone lagta hai to aisi situation mein car ke engine ke kharab hone ka risk cota Hai. 

Car ke break Mein kharabi hona: Agar car ka break kharab hai to yah ek bahut dangerous situation Mein jismein accident hona possible hai to aapko car ki service ki jarurat hai. 

Car Ke Tyres ka kharab hona: Jab car ke Tyres mein kharabi hoti hai toh yah bhi serious problem hai kyunki accident hone ka risk rahta Hai. 

Agar car vibrate Karen, ya uska alignment mein problem ho, car mileage kam de rahi ho, car mein awaz aa rahi ho aur car ka engine start nahi ho raha hai, Sath hi Sath air conditioner mein problem hone per bhi car ko service ki jarurat hoti hai.

Conclusion

Aaj is artical Ke jariye humne aapko bataya ki hamari car ko kab jarurat hoti hai ki uski service karvani bahut jaruri hai. Jaise har Insaan ko aur har ek machine ko bhi maintenance ki jarurat hoti hai iss hee tarah car ko bhi time per service dekar hum car se best service ki expectation kar sakte hain. 

FAQs

Q: – Agar Main Apne car ko use na karun to bhi service karvani jaruri hai?

Ans: – Car ka use nahi hone per ya kabhi kabhi hone per bhi car ko service karvana Jaruri hota hai Kyunki car ka jo fluid hota hai usko timely change karne ki requirement hoti hai.

Q: – Kab pata chalta hai ki car ki service honi chahiye?

Ans: –  New model ki car hai toh vah indication de deti hai dashboard per, 
– jab car ko Chalte Chalte 6 mahine ho gaye ho, 
– car 10,000 kilometer ki doori tay kar chuki ho

Leave a Comment