Doston, agar cars ki baat ki Jaaye to BMW bahut se Logon ki pasandida cars ki list mein Jarur Hogi hi Hogi kyunki, BMW jaisi luxury car na Keval India mein balki other countries mein bhi logon ki favourite rahti hai. Baat ki Jaye ki BMW Kis Desh ki company hai to aapko Bata Den Ki yah “Germany” desh ki company hai jo ki cars aur bikes ke engine banane ke liye world mei famous hai.
BMW company kab establish Hui
BMW company Germany ki ek automobile company hai jo ki 102 saal pahle 1916 Mein establish hui thi. BMW Uk luxury car jise har Kisi amir aadami ko kharidne ka sapna Hota Hai. BMW ‘Bavarian Motor Works” specially luxury car banati hai.
The demand for BMW in the world
BMW Jaisa ki ek luxury car hai. Iski demand celebrities to karte hee hai sath mei high profile businessmen bhi apni reputation aur prestige ko show karne ke liye BMW ki cars ko priority Dete Hain. Aapko bata de Ki “BMW i” bhi BMW ka Hi ek part hai jo ki electronic vehicles ki manufacturing karta hai.
BMW ke owner kaun hai
BMW Ke Do owners Hai jis mein Ki “Stefan Quandt” ka 29% share hai aur “Susanne Klatten” 21% share hai. Baki Ke Bache 50% share investors ke pass hai. Waise Dekha Jaaye to 49% share inn donon Logon ke naam hai yahi BMW ke asali owner Hain.
BMW ke brand ambassador
Jaisa ki Ham Sabhi Jante Hain Ki BMW apni luxury cars ke liye world famous hai to is brand ka Ambassador cricket world ke bhagwan Kahe jaane wale “Sachin Ramesh Tendulkar” hai. BMW ko promote Sachin Ramesh Tendulkar ne kiya hai aur yah bahut Saalo se BMW company ke brand ambassador bane hue hain.
India Mein BMW ki demand
BMW 1 world-famous brand hai jo ki bikes aur cars ke liye bahut famous hai. BMW ne na sirf USA, UK, South Africa, cheen, Brazil Jaise developed country mein apni brand Ko failaya Hai balki India mein log is brand ki cars aur bikes ko pasand kar rahe hai aur khareed bhi rahe hai.
BMW Apne naye models ki cars jaise BMW, BMW i, Royal jaisi famous brands ke liye logon ko apni brand ki taraf attract kar rahi hai.
Conclusion
Aaj Humne BMW company ki cars ke bare mein baat ki. BMW ek Germany ki company hai jo ki aaj pure world mein number 1 per chal rahi hai. Log BMW kharidna “sign of prestige” mante Hain. Popular celebrities jaise Shahrukh Khan ko bhi BMW car ka bahut craze hai. Iss Baat se aap andaza Laga sakte hain ki BMW apne aap Mein ek top brand hai.
FAQ’s
Q: – BMW company kaun si country mein hai?
Ans: – Germany
Q: – BMW company ki full form kya hai?
Ans: – Bavarian Motor Works
Mera Name Jay Kumar Hai , Best Bikes Cars Mera Blog Hai, Mujhe Autombile Par Content Likhna Pasand Hai, Mai Apko Automobile Ki Information Deta Rahunga Aap Mera Blog Padhte Rahe.