Bike Ka Insurance Kaise Check Kare

Bike to ham sabhi chalate Hain, aur isase Jude papers ke bare mein bhi jante Hain. Lekin Kai bar motorcycle insurance ko lekar laparwahi Ho jaati hai, jisse bad mein hamen nuksan uthana padta hai.

Chaliye aapko batate Hain bike insurance kya hota hai aur bike insurance kaise pata karte Hain

 aajkal gadiyon ka insurance behad jaruri ho gaya hai, motorcycle ya Gadi Ki insurance gadi ke kharab ho jaane ke bad bhi aapko Labh Deti Hai

Bahut sari insurance company hai jo bike insurance ki policies deti hai, ab yah suvidha government ki taraf se bhi Di jaane lagi hai

Apne Bike ke insurance ki jaanch aap nimn tarikon se kar sakte hain

  • Vahan e service portal
  • Insurance provider website
  • Insurance information bureau IIB website
  • parivahan.gov.in ki website

Vahan e service portal ki madad se check kare Bike Ka Insurance

  • Vahan e service ki official website per visit Karen
  • Vahan per aapko” know your vehicle detail” ka option dikhai dega
  • Is per click Karen aur apni bike ki registration number Ko enter Karen
  • Ab aapke samne search vehicle ka vikalp aaega
  • Uske bad vahan per click karte hue RC status ke vikalp Tak jaaye
  • Captcha code bharate hue gate details per click Karen
  • Aapke samne aapke bike insurance ki sari detail aa jayegi

Insurance provider website ki madad se pta kre bike insurance

  • Insurance provider website ki official website ko open Karen
  • Home page per aapko customer service ya service section ka option milega
  • Use per click karte hue bike “insurance policy”ya “ insurance status” Tak pahunche
  • Vahan per jab aap apni bike ka registration number ya policy number bharenge
  • Tab aapke samne aapki bike insurance ki sari detail aa jayegi

Insurance information bureau IIB website ki madad se

  • Sabse pahle aapko IIB ki official website check karni hai
  • Vahan per aapko bike insurance status ka button dikhai dega us per click Karen
  • Uske bad aapke samne Jo page khulkar aaega vahan per apni bike ka registration number dalen
  • Iske bad aapka number verify Kiya jaega
  • Verification ke bad search vehicle per click Karen
  • Is Step ko follow karne ke bad aapki bike insurance ki detail aapke samne hogi

parivahan.gov.in ki website ke madhyam se pta kare bike insurance

  • Sadak parivahan aur rajmarg mantralaya ki website parivahan.gov.in par jaye
  • Iske bad online service ke vikalp per jaye
  • Wha per aapko “vechical related service” ka option milega is per click Karen
  • Jaise hi aap is vikalp per click karenge
  • Aapke samne ek page khul kar aaega
  • Vahan per apni bike ka registration number bharane ke bad insurance ki sabhi detail aapke samne Hogi

Leave a Comment