Tubeless Tyre kya Hota Hai | ट्यूबलेस टायर क्या होता है

Doston, jaisa ki ham sabhi jaante hain ki chahe two wheeler ho ya four wheeler ho, tyre kisi bhi vehicle mein ek bahut important role play karta hai.  Isiliye hamen Apne  gaadi ke Tyres ki safety aur type ko lekar aware hona jaruri hai.  Normally two types ke tyre vehicles mein lagane ka option hota hai. Pahle Hote Hain tube wale tyre aur dusre Hote Hain tubeless tyer. Aage aapko Jaankari dete hain Ki tubeless tyre kya hota hai aur yah tube wale Tyre ke comparison mein zyada behtar hai ya nahi.

Tubeless tyre kya hote hain

Tubeless tyers mei tube lagi hui nahin hoti hai jab bhi tubeless tyre mein hawa Dali Jaati Hai To vah Apne Aap Rim ke charon taraf se air tight seal laga deta hain. jisse ki hawa kahin se bhi leak nahin hoti hai. 

Tubeless tyre ki sabse badi khubi yah hoti hai ki agar tyre mein puncture bhi ho jaye to bhi tyre mein se hawa nikalne ki speed bahut kam rahti hai. Aur driver ko bhi gaadi chalane mein kisi tarah ki problem ko face nahi karni padati kyunki puncture hone ke bad bhi tubeless tyre kafi lambi doori tay kar sakta hai.

Tubeless tyre ki quality

Safety: Safety ki baat ki Jaaye to tubeless tyre ek bahut bada role play karte hain. Kyunki Agar is tubeless tyre mein do ya teen puncture bhi ho jaye to bhi yah kai kilometer tak chal kar aapko workshop tak pahuncha sakti hai. Lekin tube wale tyre mein yah bilkul ulta hota hai kyunki puncture hote hi tube wale tyre aapki gaadi ko wahi rok dete hain. 

Badhiya balance: Tubeless tyre safety toh karte hi hai sath hi sath driver ko bhi gaadi handle karna mei kafi comfortable lagta hai Kyunki tubeless tyre light weight ke hote hain aur driver ko steering wheel ke jariye gaadi ko movement karne mein bahut aasani hoti hai. 
Best mileage: Tube wale Tyre ke comparison mein tubeless tyre bahut Achcha mileage dete hain kyunki tubeless tyre light weight ke hote hain aur hawa nikal

jaane ke bad bhi yah speed ko maintain rakhte Hain. Lekin tube wale tyre ka weight jyada hota hai jisse hawa nikal Jaane ki vajah se aapki gaadi ke engine ko extra kam karna padta hai.

Conclusion

Aaj is article Mein Humne Jana Ki tubeless tyre kya Hote Hain. Asal Mein tubeless tyre hi vehicle ke liye Jyada best Hote Hain kyunki tubeless tyre se gaadi mein accha mileage performance hota hai, safety bhi acchi rahti hai, puncture Lagane mein kisi Tarah Ki problem ko face nahin karna padta.

  

Leave a Comment