Royal Enfield Kis Desh Ki Company Hai | Royal Enfield Kaha Ki Company Hai

Royal Enfield 100 saal purani Company hai jo ki ek motorcycle manufacturing company hai.  Jisne apne bikes ke models ki different looks ke sath market mein launch kiya hai. Royal Enfield ko youngsters ke bich bahut pasand kiya jata hai. Ab aapko bata de ki ye Royal Enfield Kis Desh ki company hai to yah India ki multinational company hai jiski establishment 1955 mein Chennai mein hui thi.

Royal Enfield ke owner

Royal Enfield company jo ki India ki company hai iske owner “Siddharth Lal” hai.  Royal Enfield ki ek khasiyat hai ki yah apne bikes ke models ko youngsters ki choice ke hisaab se manufacture karte hai jo ki trending hota hai yah wahi market mein logo ke saamne laate hai.  

Royal Enfield ki sabse pahle kis Desh Mein ownership thi 

Royal Enfield company jo ki bikes banati hai pahle yah company British mei hua karti thi aur British mei yah soldiers ke liye banayi jaati thi.  Jiska establishment 1901 Mein hua tha. Lekin aaj ke samay mei yah company India mein puri tarah se aa gayi hai aur apne different looks ke sath logo ko kaafi attract karti hai. 

Royal Enfield ka head office Tamilnadu State mei Chennai mei bana hua hai. Royal Enfield Apne best look or strong volume ki vajah se youngsters mei bahut pasand ki jaane wali bike hai.  khaas taur se military aur police wale is bike ko apni First Choice mante Hain. 

Royal Enfield bike model prices in India

ModelEngine CapacityPrice (Ex-showroom, Delhi)
Royal Enfield Hunter 350349cc₹1.50 – ₹1.75 Lakh
Royal Enfield Classic 350349cc₹1.93 – ₹2.25 Lakh
Royal Enfield Meteor 350349cc₹2.01 – ₹2.23 Lakh
Royal Enfield Bullet 350346cc₹1.60 – ₹1.80 Lakh
Royal Enfield Scram 411411cc₹2.03 – ₹2.08 Lakh
Royal Enfield Himalayan411cc₹2.15 – ₹2.28 Lakh
Royal Enfield Interceptor 650648cc₹3.20 – ₹3.40 Lakh
Royal Enfield Continental GT 650648cc₹3.30 – ₹3.60 Lakh
Royal Enfield Super Meteor 650648cc₹3.50 – ₹3.85 Lakh

Royal Enfield ke bare mei ek bahut jaruri baat yah hai ki ye Britain ke liye bikes banane se pahle Royal Enfield company Rusi government ke liye wars ke liye bikes manufacture karti thi. Sabse pahle Royal Enfield company weapons Banane wali company thi jo “Enfield rifle” ke naam se jaani jaati thi. 

Baat ki Jaaye Royal Enfield ki “Bullet 350” ki to iss bike ka model Indian market mei sabse jyada lambe time tak tika raha jo ki 1955 se lekar ab tak chalta aa raha hai. 

Conclusion

Dosto, Aaj is article ke jariye humne aapko Royal Enfield jo ki ek bahut purani british company ki bike thi aur usse pahle yah Ruse mein wars mei soldiers ke jarie istemal ki jaati thi, ke bare mein detail mein explain kiya hai. I Hope apne is bike ke bare mein jaruri jankari hasil ki Hogi aur information aapko acchi lagi hogi. 

Also Read – Ktm Kis Desh Ki Company Hai

Also Read – Honda kis Desh ki Company Hai

Leave a Comment