Motorcycle Ka Chalan Kaise Check Karen | मोटरसाइकिल का चालान कैसे चेक करें

Doston, Aaj Ham aapko motorcycle ka Chalan kaise check Karen ke bare mein details se explain karenge. Road per bike chalane ke dauran agar aap traffic ke rules ko break karte Hain toh aisi situation mein aapko chalan dena hota hai. 

Kai bar aisa hota hai ki Chalan cut jata hai aur hamen pata bhi nahin chalta toh aisi situation mein aap chalan ko online dekh sakte hai aur aapko kahi Chakkar Lagane Ki Koi jarurat Nahin Hai. Aage Ham aapko bataenge ki Kis Tarah Se aap online chalan dekh kar uski payment bhi sath-sath kar sakte hain

Kai bar aisa hota hai ki hum apne jaankar logon ko apni motorcycle de dete hain aur vah traffic rules ko todte hain aur yah sab “hightake camera” mein record ho jata hai jiski jankari humen nahin hoti.  
Iss pareshani se bachne ke liye Hume samay samay per apne motorcycle ke chalan ko check karte rahna chahiye jiske liye aapko parivahan.gov.in website per login karna hoga. Jahan par aapko ” Chalan vivaran prapt Karen” ke option per click karna hoga.

Also Read – Should I Buy Bike Insurance from the Phonepe App? 

Motorcycle ka Chalan check karne ki step by step process Iss Tarah hai 

  • E-Challan Check karne ke liye sabse pahle aapko is website per visit karna hoga. 
  • Ab aapke samne website ka home page khulkar aa jaayega. 
  • Yahan per aapko niche ki taraf “Get Challan Details” ka option dikhega Jise aapko click kar dena hai. 
  • Click karne ke bad “Challan Details” ka page khulkar aaega Jahan per aapko apna Challan Number, Vehicle Number ko fill kar dena hai. 
  • Ab aapko captcha code fill karne ke baad “Get Detail” ke option per click kar dena hai. 
  • Itna process karne ke baad aap aasani se apne Motorcycle ke Chalan ko online bina kisi pareshani ke apne ghar per baith kar hee check kar sakte hain aur payment bhi kar sakte hain. 

Conclusion

Aaj aapne artical ke jarie information prapt ki ki kis tarah aap apne traffic Chalan ko check kar sakte hain ki aapke motorcycle per koi Chalan pending hai ya nahin aur use check karke payment bhi aap bina kahin Jaaye website ke jarie kar sakte hain. 

FAQs

Q: – E-Challan nahi bharane ki condition Mein Kya Hota Hai?

Ans: – aapka Chalan Court mein bhej diya Jata Hai fir aapko court ke jarie notice aata hai aur aapko bahut pareshaniyon ka saamna uthana padta hai.

Q: – Motorbike chalan ko kitne din mein bhar dena jaruri hota hai?

Ans: – 60 days.

Q:- E- chalan ki facility all over India mein h

Ans: – Yes, e challan aap pure India mein se kahin se bhi check kar sakte hain aur bhar sakte hain.

Also Read – Bike Ka Insurance Kaise Check Kare

Leave a Comment