Doston, agar aapke pass bhi apni bike hai aur aap chahte hain ki aapki bike ko hamesha maintain aur up- to- date rakhna to aisi situation mein aapko kuch khaas baton ka dhyan rakhna Jaruri hota hai. jismein sabse pahli important baat ye hai ki aapko apni Bike ki service kab karni chahiye to aapko is baat ka pata hona jaruri hai.
Ham apni daily ke kamon ke liye apni bike ko jyadatar use mein laate hain jiske piche sabse bada reason yah hai ki bike aasani se chalai jaa sakti hai aur traffic waale root per bhi hum jaldi se apni jagah per pahunch jaate hain.
Agar aap chahte hain ki aapki bike Saalo tak badhiya condition mein bani rahe toh iske liye aapko every six month mein ya fir 3000 km se lekar 4000 km tak Apni bike ki service jarur karva leni chahiye.
Also Read – Car Ki Service Kab Karni Chahiye
Bike ke sath milane wale manual ke according Chale
Jab Bhi Ham kisi showroom mein jakar bike kharidte hai toh bike ke sath hamen ek “user manual” bhi di jaati hai. Jismein Ki bike se related Sabhi parts ki information ke sath sath bike ko service karane ke bare mein bhi detail Mein Diya hota hai. Toh unn instruction ko follow karke ham apni bike ko time se service karwa kar usko long life de sakte hain.
Engine oil timely check karvayen
Bike ke engine ko smooth karne ke liye Ham engine oil ka use Karte hain. lekin kai bar Jyada engine oil ka istemal karne se bike ke engine mein bahut jyada dirt jama ho jata hai. Aur bike mileage bhi kam dene Lagti Hai sath hi Sath engine ke damage hone ka bhi risk bana rahata hai isliye aapko bike ki service karvane ki jarurat hoti hai.
Bike ke tyre ka pressure
Aap two wheeler ki baat Karen ya four wheeler ki tyre Ek bahut important role play karta hai. Isiliye aapko Apne tyre pressure ko regular check Karvate Rahana chahiye taaki iska pressure sahi maintain rahe. Kyunki tyre pressure maintain naa rahane ki vajah se tyre damage ho sakte hain Sath hi Sath Bike ka mileage bhi bahut kam ho jata hai.
Air filter ki service
Jab aap apni bike ko Road per le jaate hain toh us mein pollution aur dust jamta hai jisse aapke air filter block ho jaate hain aur aapki bike ke engine per pressure padta hai. Service ke time per aapko apne air filter ko clean karane chahiye.
Bike ki chain ka maintenance
Apni bike ki chain ko aapko timely cleaning, adjustment aur lubrication karate Rahana chahiye. Bike ki chain ko aapko khud paani se nahin dhona chahiye balki service ke time per isko engine oil se lubricate kiya jata hai.
Conclusion
Apni bike ko service karvana bahut Jaruri hota hai taaki vah Saalon Saal aapko achi service De saken. Service ke time per aapko Apne mileage ko sahi Karva lena chahiye sath hi sath apne bike ke break oil bhi badalna chahiye. Bike ki chain ki cleaning aur high pressure water se bike ko wash karwana chahiye.
Also Read – Bike se Paise Kaise Kamaye | बाइक से पैसे कैसे कमाए
Also Read – Bike Pe Loan Kaise Le | बाइक पर लोन कैसे लें
Mera Name Jay Kumar Hai , Best Bikes Cars Mera Blog Hai, Mujhe Autombile Par Content Likhna Pasand Hai, Mai Apko Automobile Ki Information Deta Rahunga Aap Mera Blog Padhte Rahe.