Uttar Pradesh Mein vehicles ko kitne saal tak chala sakte hain isse related “motor vehicle act” aur state government ke rules and regulation ke according establish hota hai. Government ke motor vehicle act different states ke liye different ho sakte hai. Environment aur pollution se judi baato ke upar yah depend karta hai. Aaj is article mein hum detail mei explain karenge ki up mai kitne saal purani gadi chala sakte hai ka kanoon hai aur iss kanoon ke piche main reason kya hai.
Uttar Pradesh mei motor vehicle act ke rules
India mei “motor vehicle act 1988” pure India mein vehicles ko regulate karne ke liye lagu kiya jata hai. Lekin yah depend karta hai ki kuch States mei rules and regulation uss State ki environmental requirement per bhi depend karta hai.
Uttar Pradesh mei vehicles ko chalane se related rules motor vehicle act ke according hai lekin Uttar Pradesh state ki government ki special policy mei ise explain kiya gaya hai. Aur vehicles kitne purane chalaye jaa sakte hai iske liye central government or state government ne special rules banaye hai taaki pollution per control rakha jaa sake aur roads per sahi Vehicle chal sake.
Petrol aur diesel vehicles ki age limit
India mein vehicles ki age limit ko lekar petrol aur diesel vehicles ke different rules and regulation hai:
Petrol vehicles- Uttar Pradesh Mei petrol se chalne wale private vehicles 15 Saal tak Road per Chalayi jaa sakte hai. Agar petrol vehicles 15 Saal tak Chalaye Ja chuke hai to Unka registration khatam kar diya jata hai. Lekin Agar vehicle ki condition acchi hai aur fitness test pass kiya Jaa chuka hai to re- registration ho sakta hai lekin yah registration ek limited time ke liye hota hai.
Diesel vehicles- diesel vehicles ke Rules and regulations petrol vehicle se Jyada strict hai. Uttar Pradesh mei diesel se chalne wale private vehicles ko 10 Saal tak chalaya Jaa sakta hai. 10 Saal pure hone ke bad diesel se chalne wale vehicles ka re-registration ki permission nahi di Jaati Hai. Yah role specially unn vehicles per apply hota hai jo pollution Jyada failate hai .
poorane vehicles Ke liye registration aur fitness test certificate
Jab Kisi vehicle ki age limit khatm Ho jaati hai to use Sadak per chalane ki permission tabhi di Jaati Hai Jab usne fitness test clear kar liya ho. Fitness test ke jariye vehicle ki technical and build qualities ko check kiya jata hai ki vehicle Jyada pollution nahi failata ho. Agar vehicle fitness test clear nahi kar sakta to use Dobara Sadak per chalane ki permission nahi di jaati.
Purane Vehicles per government ke rules
Jaisa ki hum Sabhi Jante Hain ki air pollution kaafi teji se badh raha hai isiliye Uttar Pradesh ke sath-sath other states mein government ne Rules ko strict kar diya hai. Government pollutant vehicles ko Sadak se hatane ke liye state government aur CPCB(Central Pollution Control Board) dono ke jariye karyvaahi ki jaati hai.
Conclusion
Uttar Pradesh mei vehicles ki age se related rules environmental aur safety reason ke liye banaye gaye hai. petrol vehicles ke liye 15 Saal aur diesel vehicles ke liye 10 saal ki age decide ki gai hai taaki environment ko pollution free rakha jaa sake. Aane wale future mai electronic vehicles mei increment se kaafi fayda ho sakta hai.
Mera Name Jay Kumar Hai , Best Bikes Cars Mera Blog Hai, Mujhe Autombile Par Content Likhna Pasand Hai, Mai Apko Automobile Ki Information Deta Rahunga Aap Mera Blog Padhte Rahe.