Duniya ki Sabse Mahangi Bike Kaun si hai

Aaj kal ke youngsters mei ab bikes ki demand average ke base per nahi balki pickup ke base per ki jaane lagi hai aur is tarah ki acchi pickup wali bikes ki cost bhi jyada hoti hai lekin kya aap jante hai ki duniya ki sabse mahangi bike kon si hai to aaj hum aapko Iske bare mein jankari dete hue batate hai duniya ki sabse mahangi bike kaun si hai to uss bike ka naam hai “Neiman Marcus Limited Edition Fighter” aur ek hairaan kar dene wali baat yah bhi hai ki is ek bike ki cost ke barabar 81 BMW cars aap khareed sakte hain.

Duniya Ki Sabse mahangi bike ki kya kimat hai

Duniya Ki most expensive bike jo ki “Neiman Marcus Limited Edition Fighter” hai agar hum iski actual price ki baat kare to India mein iska price 81.75 crores hai. Puri duniya mei is bike ke sirf 45 model hi available the yahi reason hai ki is bike ko “Limited addition” ke naam se bhi Jana gaya hai. 

Neiman Marcus Limited Edition Fighter ki specialty 

Marcus limited edition fighter bike ki  speed 300 km per hour hai iska design awesome hai aur Isko “evolution of the machine” ke naam se Jana gaya tha.  Iss bike mein aapko 120 CI 45-degree air cooled be twin-engine mil jata hai jo ise strong build banata hai, is Bike ka power train ki Baat kare to yah titanium aluminum aur carbon fiber body part se build hai. Neiman Marcus Limited Edition Fighter ko “Curtiss Motorcycles” ne banaya tha. 

Neiman Marcus ke bike ke owner 

Neiman Marcus bike ki ownership Neiman Marcus groups ke pass hai aur neiman marcus ek America ki luxury department store ki ek series hai. 

Neiman Marcus Limited Edition Fighter key features 

  1. Futuristic and Rugged Design
  2. Powerful V-Twin Engine
  3. Carbon Fibre Frame
  4. Custom Designed Brakes
  5. Single Rider Only Seat

Conclusion

Aaj ke is artical Ke zariye humne aapko duniya ki Sabse mahangi bike jo ki “Neiman Marcus Limited Edition Fighter” hai,  ke baare mei detial mei bataya. Yah bike futuristic design ke sath hai aur is Bike ka look totally different or most attractive hai. Is bike ki power 1966.55 cc V-twin engine jo ki air cooled hai aur fuel injection system ka use karta hai aur yah World ki super fast bikes mei se ek hai. 

Leave a Comment