Dosto, hum sabhi jaante hain ki India mein sabse jyada jis Gaadi ki sale hoti hai vah Maruti Suzuki hai. Maruti Suzuki Kis Desh ki company hai to aapko bata de ki maruti Suzuki “Indian joint venture” Company hai. Japan ki Suzuki Motor corporation aur Bharat Ki Maruti udyog Limited ki joint venture company Bharat ki sabse badi car manufacturing company hai.
Indian road per chalne wali har dusri car maruti Suzuki company ki aapko dikh jayegi. Maruti Suzuki Desh ki sabse badi car manufacturing company hai. yah company 40 saal se India mein gaadiyan bana rahi hai aur 2.5 crores se jyada gaadiyan bech chuki hai.
Maruti Suzuki ki shuruaat
India mein Maruti Suzuki 24 February 1981 mein Indian government ke under establish hui thi. Company ka motive aisi car manufacture karna tha jo ki logo ke budget mei rahe lekin company ke pass Itna finance nahi tha isiliye company ko kisi dusri car manufacturing company ke sath partnership karne ki jarurat pad gayi thi.
1982 mein Indian company Maruti aur Japan company Suzuki ke bich partnership hui isliye Maruti aur Suzuki jo ki do different companies hai milkar India mei car manufacturing karne lagi.
Maruti Suzuki Company ke Owner
Maruti company ko Sanjay Gandhi ne establish kiya tha lekin aaj ke Samay ki baat ki Jaaye to Maruti Suzuki company ke chairman RC Bhargav hai aur Japani company Suzuki ke stablisher Osaamu Suzuki hai.
Maruti Suzuki Monthly Car Sale
Maruti Suzuki company per month 1.5 lakh se lekar 1.9 lakh gaadiyan bechti hai. India mein Maruti Suzuki ki teen manufacturing units hai. Gurugram aur Manesar plant mein 1 saal mein 15 lakh gaadiyan banti hai aur Gujarat ke plant mei har Saal 750 hajar gaadiyan banti hai sath hi sath Haryana Mein Maruti Suzuki ka naya manufacturing plant lagne wala hai jo ki 2025 mein taiyar ho jaega.
Maruti Suzuki car models with price
Car Model | Starting Price (INR) | Top Variant Price (INR) |
Maruti Suzuki Alto | ₹3.54 Lakh | ₹5.13 Lakh |
Maruti Suzuki S-Presso | ₹4.26 Lakh | ₹6.11 Lakh |
Maruti Suzuki WagonR | ₹5.54 Lakh | ₹7.42 Lakh |
Maruti Suzuki Celerio | ₹5.37 Lakh | ₹7.15 Lakh |
Maruti Suzuki Swift | ₹6.04 Lakh | ₹8.98 Lakh |
Maruti Suzuki Dzire | ₹6.51 Lakh | ₹9.39 Lakh |
Maruti Suzuki Baleno | ₹6.61 Lakh | ₹9.88 Lakh |
Maruti Suzuki Ignis | ₹5.89 Lakh | ₹8.30 Lakh |
Maruti Suzuki Vitara Brezza | ₹8.30 Lakh | ₹13.05 Lakh |
Maruti Suzuki Ertiga | ₹8.64 Lakh | ₹13.08 Lakh |
Maruti Suzuki Grand Vitara | ₹10.70 Lakh | ₹19.79 Lakh |
Maruti Suzuki XL6 | ₹12.29 Lakh | ₹15.08 Lakh |
Conclusion
Desh Mein Maruti Suzuki ab tak ki sabse sasti cars mein se hai jise koi normal insaan bhi khareed kar apne pass car hone ka sapna poora kar sakta hai. Price ke hisaab se car ka design manufacturing badhiya hai aur ise afford karna bahut aasan hai.
Also Read – Honda kis Desh ki Company Hai
Also Read – Hyundai Kis Desh ki Company Hai
Mera Name Jay Kumar Hai , Best Bikes Cars Mera Blog Hai, Mujhe Autombile Par Content Likhna Pasand Hai, Mai Apko Automobile Ki Information Deta Rahunga Aap Mera Blog Padhte Rahe.