Hamare India mein agar dekha Jaaye to jyada se Jyada logo ke pass motorcycle ya Scooty dekhne ko milti hai aur survey se pata kiya jaaye To kuch saalo mein two wheeler ka market sabse jyada accha raha hai. TVS motors bhi ek bahut badi Two wheeler banane wali Company hai. TVS Kis Desh ki company hai to aapko bata de ki yah ek Bhartiya Company hai. TVS company Bharat ki Teesri Sabse Badi two wheeler Company hai.
Vaise to Honda, Hero, Bajaj Jaisi companion ke zariye bhi two wheeler per year Bhartiya logo ne khoob kharide hai, lekin two wheeler manufacturer karne mein TVS company ka bhi ek bahut bada market hai.
TVS company
TVS Company ne world level per apni racing motorcycle aur other vehicles manufacture karne ke liye world ke 80 se jyada countries mein apna business failaya hua hai. TVS company ke India mein 5 crores se bhi jyada reliable customers hai.
TVS company ke India mai kaafi developed manufacturing plant hai aur company every year 4 million se Jyada vehicles manufacture karti hai aur 3 million se Jyada sale karti hai.
TVS company ke owner
T.V.S. Iyengar (Thrissur Vengaram Sundaram Iyengar) jinka Janm 27 March 1877 Mein Madras mein hua tha, ye Indian industries or automobile ki field mein ek bahut bade businessman the. In hone 1911 mein TVS company ko establish kiya tha.
TVS ka head office “Madurai” Tamilnadu, India mein hai aur is company ko T. V. S. Iyengar Private Limited ke zariye control kiya jata hai.
Popular TVS motor vehicles ke naam Indian price list ke sath
Vehicle Model | Type | Engine (cc) | Ex-Showroom Price (₹) |
TVS Jupiter | Scooter | 110 | 73,000 – 85,000 |
TVS NTorq 125 | Scooter | 124.8 | 87,000 – 1,10,000 |
TVS Apache RTR 160 | Motorcycle | 159.7 | 1,23,000 – 1,30,000 |
TVS Apache RTR 200 4V | Motorcycle | 197.75 | 1,45,000 – 1,55,000 |
TVS Raider 125 | Motorcycle | 124.8 | 97,000 – 1,05,000 |
TVS Sport | Motorcycle | 109.7 | 65,000 – 75,000 |
TVS XL100 | Moped | 99.7 | 45,000 – 55,000 |
TVS iQube | Electric Scooter | Electric | 1,30,000 – 1,60,000 |
Conclusion
TVS Motor bahut saalo se India ki world level per vehicles ki quality aur strong manufacturing ke liye successful company ke roop mein jaani jaati rahi hai. India mei hee croros mei log aaj ke samay mei TVS motor vehicles ko chalate hai jisne baaki ki two wheeler companies ko takkar di hai. Aaj is post mai humne TVS Motor kaha ki company iska India mei kaisa market hai aur Iske owner ke bare mein information paayi hai.
Also Read – Bmw Kis Desh Ki Company Hai
Mera Name Jay Kumar Hai , Best Bikes Cars Mera Blog Hai, Mujhe Autombile Par Content Likhna Pasand Hai, Mai Apko Automobile Ki Information Deta Rahunga Aap Mera Blog Padhte Rahe.