Mercedes kis Desh ki Company Hai

Luxury cars ki baat ki Jaye to Mercedes sabse upar list mein aati hai.  Mercedes Kis Desh ki company hai aapki jankari ke liye bata de ki Mercedes Germany ki company hai. Germany mein start hui iss Mercedes company ka business pure world mein famous hai. 

Pune Jaisi developed City ke “Chakan” mein “Mercedes Benz India” ka headquarters hai. India mein jo Mercedes car ki supply alag-alag cities mein  hoti hai vah Mercedes gaadiyan yahi taiyar hoti hai.

Mercedes Benz India

Pune city mein “Chakan” area mein 100 ekad Jameen per Mercedes Benz India ka headquarter bana Hua Hai. “Mercedes daimler AG” is plant ko operate karte hai. Yahan per Mercedes Benz ke models C, CLA, E Sedan, GL, GLA, GLE, S and Maybach S500 ko assemble karke banaya jata hai. Isse pahle India mein Mercedes direct Germany se supply hua karti thi. 

Mercedes Benz German ki automobile company hai jo luxury cars ke liye famous hai.  1926 mein Mercedes company start hui thi. Yah company luxury cars ke alava luxury truck, bus, coaches bhi banati hai. Mercedes ka Germany Mein headquarter “Stuart” mein hai. Mercedes company ke owner  “ Mr. Damler AG” hai. 

Baat ki Jaaye achievements ki to Fortuner magazine ke jariye 2013 mei is company ko “Most admired brand of India” ka title bhi mila hai.

Mercedes ka sabse bada research and development plant Bengaluru mein

Bengaluru mein jo Mercedes ka research and development center banaya gaya hai isko 1996 mein start kiya gaya tha jahan per 2000 engineer aur IT specialist work karte Hain. Chennai plant mein Mercedes Benz ke truck aur bus Banai Jaati Hai. 

Mercedes Benz ke India mein 39 cities Mein 65 outlets hai jis mein ki Mumbai, Bangalore aur Delhi outlets mein Mercedes ka special brand AMG Milta Hai. 

Mercedes car ki list India mein Uske price ke sath

ModelPrice Range (INR)
Mercedes-Benz A-Class Limousine₹46.05 – 48.55 Lakh
Mercedes-Benz C-Class₹60 – 69 Lakh
Mercedes-Benz E-Class₹72.8 – 89.15 Lakh
Mercedes-Benz GLA₹51.75 – 56.9 Lakh
Mercedes-Benz GLB₹63.8 – 71.8 Lakh
Mercedes-Benz GLC₹74.45 – 76.90 Lakh
Mercedes-Benz GLE₹96.4 Lakh – 1.15 Crore
Mercedes-Benz EQB₹70.9 – 77.5 Lakh
Mercedes-Benz EQA₹66 Lakh
Mercedes-Benz EQE SUV₹1.39 Crore
Mercedes-Benz S-Class₹1.77 – 1.86 Crore
Mercedes-Benz GLS₹1.32 – 1.37 Crore
Mercedes-Benz G-Class₹2.55 – 4 Crore
Mercedes-Benz Maybach GLS₹3.35 Crore
Mercedes-Benz EQS₹1.55 – 1.62 Crore

Conclusion

Aaj Humne is article mein Mercedes company ke bare mein aapko Jankari di jo ki na sirf luxury cars banata hai balki bus, coaches, truck bhi banata hai. i yah Company India mein sabse mehngi car Banane wali Company hai 

Leave a Comment