Car ko Rent Pe Kaise de | कार को रेंट पर कैसे दे

Agar aap apni Car ko kam use kar rahe hain ya fir naa ke barabar istemal karte hain to aisi situation mein aap apni car ko rent per dekar Achcha Paisa Kama sakte hain sath hee sath kaafi companies bhi market mein hai jo ki aapki car aage rent per dene ki facility provide karti hai. 

Apni kar ki Bima policy aur financial transaction ke liye apni car ko rent per dene ke liye jis company ka aap use kar rahe hain uske bare mein saari detail jaan lena sabse pahle important hota hai. Jaaniye apni car ko rent pe kaise de bina kisi problem ke. 

Also Read – How to Reduce the Cost of My Car Insurance Renewal

Car Rent per Kaise de 

Apni car ya to aap khud rent per de sakte hain ya fir market mein car ko rent per dene ki bahut si companies hai Jiske jarie aap apni car rent per de sakte hain kyunki inn companies mein aap apni car ko rent per available aur listed dikha sakte hain. 

Kon si Car eligible Hai rent per dene ke liye 

Car rent per dene ke liye Kuch eligibilities ko pura karna zaroori hota hai kyunki har ek car rent per nahin di Ja sakti hai. 

Important eligibility jiske hote hue hi aap apni Car rent per de sakte hain vah Is Tarah hai: 

Car insurance: Yah bahut jyada important hai ki aapki car ka insurance apne state mei hona chahiye aur jo company aapki car aage rent per dengi unki requirment ko pura karna zaroori hai sath hee sath agar aap “pair to pair” car sharing service ka option select karte hain toh aap safety majors ko bhi check karen. 

Car ka mileage, air aur car history: Rent par jo bhi car di Jaati hai uski batai Hui age, mileage jitni chahiye utni honi chahiye sath hi sath car ka koi bhi damage kabhi pahle hua ho to yah sab baten clear honi important hai. 

Car ki cost: Agar aapke pass costly car hai to aapko apni car ki cost ko document ke jarie cost ko dikhana hoga aur fir yah check karna hai ki jis platform per aap apni car rent per de rahe hain vah unke bataye car ke cost Se Match hota hai ya nahin. 

Car rent per dete time Bima company ko inform Karen: 

Apni car Ko Jab aap rent per de to Iski information aap apni car ki Bima company ko Jarur den.  Iske piche reason yah hai ki kuch car bima companies mein yah policy hoti hai ki vah car ko “business purpose” ke liye restrict karti hai. 

Conclusion

Aaj is article Mein Humne aapke sath discuss kiya ki agar aapki car aapke liye useless hai ya bahut kam aap use istemal karte ho to aise situation mein aap apni car ko rent per dekar ek side earning kar sakte hain. waise to is process Mein paper work, bima ko jaldi jaldi bharna aur har sawari ke baad regular car ka investigation karna important hota hai sath hi sath jitne bhi platform car rent par listing karne ke liye available hai unko select karne ke liye Unki requirement aur demand ke hisab se car dena hai.

Also Read – Why Are Electric Cars Better Than Petrol and How Do They Work

Leave a Comment