Bike Ka Average Kaise Nikale | बाइक का एवरेज कैसे निकाले

Doston, Har Koi Yahi chahta hai ki uski bike ek badhiya average de, jisse ki ek litre petrol ki khapat se vah Jyada se Jyada bike chala sake. Bahut  companies achcha mileage dene ki guarantee deti hai lekin hakikat mein mileage pata hona bhi aana chahiye. Aaj hum aapko Bike ka average kaise nikale ke bare mein detail mei information denge.

Inn tarikon se aap Pata Laga sakte hain ki aapki Bike Kitna average de rahi hai

Average nikalne ke liye yah Jaanna jaruri hai ki ek litre petrol mein aapke bike kitna kilometer Ka Safar pura karti hai jiske Liye aapko: 

  • Aapko apni bike mein sabse pahle tanki ko full karva lena hai sath hi sath same brand ka oil aapko bharwana hai kyunki agar aap apna bike ka oil Badalte hain toh isse mileage pata karne mein dikkat hoti hai. 
  • Bike Mein fuel bharvate Samay aapko trip meter ko zero per set kar dena hai
  • Jab aapki bike mein fuel aadha istemal hokar aadha rah jaega toh aapko dobara se tank ko full karva lena hai.
  •  iske baad aapko yah notice karna hai ki pichhali baar bike kitne kilometer chali hai aur iss baar aapne kitna oil dalvaya hai. 
  • Aapki bike ki cover ki Gayi Doori ko aapko dusri baar ke fuel ke bharane se divide kar dena hai. toh aap apni Bike ka mileage nikal payenge.

Example: aapki bike 250 kilometer chali hai aur usmein 10 litre fuel laga hai to aapki Bike ka jo mileage hai vah 25 kilometer par litre aaega. 

  • Mileage ko check karna iss baat per bhi depend karta hai ki aap kis Tarah ki road per apni bike chala rahe hain.  toh Is tarah aap 6-7 baar mileage ko nikal kar average mileage nikaal sakenge aur wahi aapki Bike ka mileage hoga. 
  • Bike ka average nikaalne ke liye mobile mein bahut saari applications bhi hai jo ki GPS ke through aapki gadi ka mileage pata karne mein aapki help karti hai.

Conclusion

Aaj aapne article ke jarie apni Bike ka sahi average nikalne ka tarika ko jaana hai.  Hope ki hamari di Gayi information aapke liye helpful rahegi, Jise follow karke aap apna fuel save kar paayenge aur bike ka mileage Badha Payenge. 

FAQ’s

Q: – Bike badhiya mileage kab Deti Hai?

Ans: – Agar aap apni bike ko 60- 70 kilometer ki speed per hi chalayenge to aapki bike achcha mileage Deti Hai

Q: –Bike mein fuel bachane ka Aasan Tarika kya hai?

Ans: – Agar aap apni bike mein fuel bachana chahte hain toh iska sabse badhiya tarika hai ki aap apni Bike ka gear baar-baar change na karen. smooth driving se aap apne fuel ki khapat ko bacha sakte hain.

Leave a Comment